मुहर्रम में क्या जाइज़? क्या नाजाइज़?
(पार्ट 4)
इस सब के वाबजूद अवाम में ऐसे लोग भी काफ़ी हैं जो ग़लती करते हैं और इसको ग़लती समझते भी हैं और इस हराम को हलाल बताने वाले मौलवियों की भी उनकी नज़र में कुछ औक़ात नहीं रहती। एक गॉव का वाकिया है कोई ताज़िये बनाने वाला कारीगर नहीं मिल रहा था या बहुत सी रक़म का मुतालबा कर रहा था वहाँ की मस्जिद के इमाम ने कहा कि किसी को बुलाने की ज़रूरत नहीं है ताज़िया मैं बना दूंगा और इस इमाम ने गांव वालों को ख़ुश करने के लिए बहुत उम्दा बढ़िया और ख़ूबसूरत ताज़िया बना कर दिया और फ़िर उन्हीं ताज़ियेदारों ने इस इमाम को मस्जिद से निकाल दिया और ये कहकर इस का हिसाब कर दिया कि ये कैसा मौलवी है कि ताज़िया बना रहा है मौलवी तो ताज़ियेदारी से मना करते हैं, और मौलवी साहब का बक़ौल शाइर ये हाल हुआ कि:
"न ख़ुदा ही मिला न विसाले सनम"
"न यहाँ के रहे न वहाँ के रहे"
दरअसल बात ये है कि सच्चाई में बहुत ताक़त है हक़ हक़ ही होता है। और सर चढ़ कर बोलता है और हक़ की अहमियत उनके नज़दीक भी होती है जो ना हक़ पर हैं।
बहरहाल इस में कोई शक नहीं कि एक बड़ी तादाद में हमारे सुन्नी मुसलमान अवाम भाई हज़रत इमाम ए हुसैन رضی اللہ تعالٰی عنہ की मुहब्बत में ग़लत फ़हमियों के शिकार हो गए और मज़हब के नाम पर नाजाइज़ तफ़रीह और दिल लगी के काम करने लगे उनकी ग़लत फ़हमियों को दूर करने के लिए हमने ये मज़मून मुरत्तब किया है इस मुख़्तसर मज़मून में हम ये दिखाएंगे कि आज कल मुहर्रम के महीने में इस्लाम व सुन्नियत के नाम पर जो कुछ होता है इस मे इस्लामी नुक़्ता ए नज़र से सुन्नी उलमा के फ़तवों के मुताबिक़ जाइज़ क्या है और नाजाइज़ क्या है, किस में गुनाह है और किस में सवाब। इस में बहस व मुबाहिसे और तफ़सील की तरफ़ न जाकर सिर्फ़ जाइज़ और नाजाइज़ कामों का एक जायज़ा पेश करेंगे, और पढ़ने और सुनने वालों से गुज़ारिश है कि ज़िद और हठ धर्मी से काम न लें, मौत क़ब्र और आख़िरत को पेशे नज़र रखें।
मेरे अज़ीज़ इस्लामी भाइयों! हम सब को यक़ीनन मरना है, और ख़ुदा ए तआला को मुंह दिखाना है वहां ज़िद और हठ धर्मी से काम नहीं चलेगा। भाइयों! आंखें खोलो और मरने से पहले होश में आ जाओ और पढ़ो समझो और मानो।
जारी है.......
📚 मुहर्रम में क्या जाइज ? क्या नाजाइज़ ?, सफ़ा 7 — 9
✍🏻 मौलाना तत्हीर अहमद रज़वी बरेलवी
✒️✒️ मिन जानिब :- इल्म की रौशनी
MUHARRAM MEIN KYA JAIZ? KYA NAJAIZ?
(PART 4)
Is Sab Ke Bawajood Awaam Mein Aise Log Bhi Kafi Hain Jo Galati Karte Hain Aur Isko Galati Samajhte Bhi Hain Aur Is Haram Ko Halal Batane Wale Maulviyon Ki Bhi Unki Nazar Mein Kuchh Auqat Nahi Rahti.
Ek Ganw Ka Waqya Hai Koi Taziye Banane Wala Karigar Nahi Mil Raha Tha Ya Bahut Si Raqam Ka Mutalba Kar Raha Tha Wahan Ki Masjid Ke Imam Ne Kaha Ki Kisi Ko Bulane Ki Zaroorat Nahi Hai Taziya Main Bana Dunga Aur Is Imam Ne Ganw Walon Ko Khush Karne Ke Liye Bahut Umda Badhiya Aur Khubsurat Taziya Bana Kar Diya Aur Phir Unhi Taziyadaron Ne Is Imam Ko Masjid Se Nikal Diya Aur Ye Kah Kar Iska Hisab Kar Diya Ki Ye Kaisa Maulvi Hai Ki Taziya Bana Raha Hai Maulvi To Taziyedari Se Mana Karte Hain, Aur Maulvi Sahab Ka Baqaul Shair Ye Haal Hua Ki:-
Na Khuda Hi Mila Na Wisaal E Sanam
Na Yahan Ke Rahe Na Wahan Ke Rahe.
Darasal Baat Ye Hai Ki Sachchai Mein Bahut Taqat Hai Aur Haq Haq Hi Hota Hai. Aur Sar Chadh Kar Bolta Hai Aur Haq Ki Ahmiyat Unke Nazdik Bhi Hoti Hai Jo NaHaq Par Hain.
Bahar Haal Isme Koi Shak Nahi Ki Ek Badi Tadad Mein Humare Sunni Musalman Awam Bhai Hazrat E Imam HUSSAIN رضی اللہ تعالٰی عنہ Ki Mohabbat Mein Galat Fahmiyon Ke Shikar Ho Gaye Aur Mazhab Ke Naam Par Najaiz Tafreeh Aur Dillagi Ke Kaam Karne Lage.
Unki Galat Fahmiyon Ko Door Karne Ke Liye Humne Ye Mazmoon Murattab Kiya Hai Is Mukhtasar Mazmoon Mein Hum Ye Dikhayenge Ki Aaj Kal Muharram Ke Mahine Mein Islam Wa Sunniyat Ke Naam Par Jo Kuchh Hota Hai Isme Islami Nuqta E Nazar Se Sunni Ulma Ke Fatwon Ke Mutabiq Jaiz Kya Hai Aur Najaiz Kya Hai, Kis Mein Gunah Hai Aur Kis Mein Sawab.
Is mein Bahas Wa Mubahise Aur Tafseel Ki Taraf Na Jakar Sirf Jaiz Aur Najaiz Kamon Ka Ek Jaiza Pesh Karenge, Aur Padhne Aur Sunne Walon Se Guzarish Hai Ki Wo Jidd Aur Hath Dharmi Se Kaam Na Len, Maut Wa Qabr Aur Akhirat Ko Peshe Nazar Rakhen.
Mere Azeez Bhaiyon! Hum Sab Ko Yaqeenan Marna Hai, Aur Khuda E Taala Ko Munh Dikhana Hai Wahan Jidd Aur Hath Dharmi Se Kaam Nahi Chalega.
Bhaiyon! Aankhe Kholo Aur Marne Se Pahle Hosh Mein Aa Jao Aur Padho Samjho Aur Mano.
Continue...
📚Muharram Mein Kya Jaiz? Kya NaJaiz?, Safa 7–9.
✍️Maulana Tatheer Ahmad Razvi Barelvi
✒️✒️Min Janib:- ILM KI RAUSHNI
Follow this link to join my WhatsApp group: https://chat.whatsapp.com/LkiwZ53xyou9QpJlXzYcfg
0 Comments