Niyaz Wa Fatiha Part 7

 मुहर्रम में क्या जाइज़? क्या नाजाइज़?

 (पार्ट 7) 

न्याज़ व फ़ातिहा.......2

ख़ुलासा ये है कि उर्स, न्याज़ व फ़ातिहा वग़ैरह बुज़ुर्गों की यादगारें मनाने की जो लोग मुख़ालिफत करते हैं वो ग़लती पर हैं और जो लोग सिर्फ़ उन कामों को ही इस्लाम समझे हुए हैं और शरअन उन्हें लाज़िम व ज़रूरी ख़्याल समझते हैं वो भी बड़ी भूल में हैं।


(5) न्याज़ व फ़ातिहा की हो या कोई और खाने पीने की चीज़ उसको लुटाना, भीड़ में फेंकना कि उनकी बे अदबी हो पैरों के नीचे आए या नाली वग़ैरह गंदी जगहों पर गिरे एक ग़लत तरीक़ा है, जिससे बचना ज़रूरी है, जैसा कि मुहर्रम के दिनों में कुछ लोग पूड़ी, गुलगुले, बिस्किट वग़ैरह छतों से फेंकते और लुटाते हैं ये ना मुनासिब हरकतें हैं।


(6) न्याज़ व फ़ातिहा यानी बुज़ुर्गों को उनके विसाल के बाद या आम मुरदों की रूहों को उनके मरने के बाद सवाब पहुचांने का मतलब सिर्फ़ यही नहीं कि खाना पीना सामने रखकर और क़ुरआन करीम पढ़कर ईसाले सवाब कर दिया जाए, बल्कि दूसरे दीनी इस्लामी या रिफ़ाहे आम यानी अवाम मुसलिमीन को नफ़ा पहुंचाने वाले काम कर के उनका सवाब भी पहुँचाया जा सकता है।


किसी ग़रीब बीमार का ईलाज करा देना। किसी बाल बच्चेदार बेघर मुसलमान का घर बनबा देना। किसी बे क़सूर क़ैदी की मदद करके जेल से रिहाई दिलाना। जहां मस्जिद की ज़रूरत हो वहाँ मस्जिद बनवा देना। अपनी तरफ़ से इमाम व मुअज़्ज़िन की तनख़्वाह जारी कर देना। मस्जिद में नमाज़ियों की ज़रूरत में ख़र्च करना। इल्मे दींन हासिल करने वालों या इल्म फ़ैलाने वालों की मदद करना। दीनी किताबें छपवा कर या ख़रीदकर तक़सीम कराना। दीनी मदरसे चलाना। रास्ते और सड़के बनवाना या उन्हें सही कराना। रास्तों में राहगीरों की ज़रूरतों के काम कराना वग़ैरह वग़ैरह।


ये सब ऐसे काम हैं कि उन्हें करके या उनपर ख़र्चा करके, बुज़ुर्गों या बड़े बूढ़ों के लिए ईसाले सवाब की नियत कर ली जाए तो ये भी एक क़िस्म की बेहतरीन न्याज़ व फ़ातिहा है, ज़िन्दों और मुर्दों सभी का उसमें नफ़ा और फ़ायदा है।


हदीस पाक में है कि हुज़ूर ए पाक “ﷺ” के एक सहाबी हज़रते साअद इब्ने उबादा رضی اللہ تعالٰی عنہ की माँ का विसाल हुआ तो वो बारगाहे रिसालत “ﷺ” में हाज़िर हुए और अर्ज़ किया :- या रसूलल्लाह “ﷺ” मेरी माँ का इंतेक़ाल हो गया है तो कौनसा सदक़ा बेहतर रहेगा। सरकार “ﷺ” ने फ़रमाया :-

 पानी बेहतर रहेगा। उन्होंने एक कुआँ खुदवा दिया और उसके करीब खड़े होकर कहा :- ये कुआँ मेरी माँ के लिए है, (मिश्कात बाबो फ़ज़लुस्सदक़ा स. 169) यानी जो इस से पानी पियें उसका सवाब मेरी माँ को पहुँचता रहे।


शारेहीने हदीस फरमाते हैं:- हुज़ूर “ﷺ” ने पानी इसलिए फ़रमाया कि मदीना तय्यबा में पानी की किल्लत थी पीने का पानी ख़रीदना पड़ता था, ग़रीबों के लिए दिक़्क़त का सामना था इसलिए हुज़ूर “ﷺ” ने हज़रत ए सअद رضی اللہ تعالٰی عنہ से कुआँ खोदने के लिए फ़रमाया।


इस हदीस शरीफ़ से ये बात साफ़ हो जाती है कि मुर्दों को कारेख़ैर का सवाब पहुँचता है और ये कि जिस चीज़ का सवाब पहुंचाना हो उस खाने पीने की चीज़ को सामने रखकर ये कहने में कोई हर्ज नहीं कि उसका सवाब फलां को पहुंचे, क्योकि हज़रत ए सअद رضی اللہ تعالٰی عنہ ने कुआँ खुदवा कर कुआँ की तरफ़ इशारा करके ये ये अल्फ़ाज़ कहे थे, लेकिन इसको ज़रूरी भी नहीं समझना चाहिए कि खाना पानी सामने रखकर ही ईसाले सवाब जाइज़ है, दूर से भी कह सकते हैं, दिल में कोई नेक काम करके या कुछ पढ़कर या खिलाकर किसी को सवाब पहुंचाने की नियत करलें तब भी काफ़ी है। अल्लाह तआला सवाब देने वाला है वो दिलों के अहवाल से ख़ूब वाकिफ़ है। ये सब तऱीके दुरुस्त हैं उन में से जो किसी तऱीके को ग़लत कहे वही ख़ुद ग़लत है।

📚 मुहर्रम में क्या जाइज़? क्या नाजाइज़? , सफ़ा  12 — 14

✍🏻 मौलाना तत्हीर अहमद रज़वी बरेलवी

✒️✒️ मिन जानिब :- इल्म की रौशनी


MUHARRAM MEIN KYA JAIZ? KYA NAJAIZ?

 (Part 7)

📋 Niyaz Wa Fatiha.....2


Khulasa Ye Ki Urs, Niyaz Wa Fatiha Wagairah Buzurgon Ki Yaadgaren Manane Ki Jo Log Mukhalifat Karte Hain Wo Galti Par Hain Aur Jo Log Sirf Un Kaamon Ko Hi Islam Samjhe Hue Hain Aur Sharan Unhe Lazim Wa Zaroori Khyaal Karte Hain Wo Bhi Badi Bhul Mein Hain.


(5) Niyaz Wa Fatiha Ki Ho Ya Koi Aur Khane Peene Ki Chiz Usko Lutana, Bhid Mein Fekna Ki Unki Be Adbi Ho Pairon Ke Niche Aaye Ya Nali Wagairah Gandi Jaghon Par Gire Ek Galat Tariqa Hai, Jisse Bachna Zaroori Hai, Jaisa Ki Muharram Ke Dino Mein Kuchh Log Puri, Gulgule Ya Biscuit Wagairah Chhaton Se Fekte Aur Lutate Hain Ye Sab Na Munasib Harkaten Hain.


(6) Niyaz Wa Fatiha Yaani Buzurgon Ko Unke Wisaal Ke Baad Ya Aam Murdon Ki Roohon Ko Unke Marne Ke Baad Sawab Pahunchane Ka Matlab Sirf Yahi Nahi Ki Khana Peena Samne Rakh Kar Aur Quraane Kareem Padh Kar Isaale Sawab Kar Diya Jaye, Balki Dusre Deeni Islami Ya Rifahe Aam Yaani Awam Muslimin Ko Nafa Pahunchane Wala Kaam Kar Ke Unka Sawab Bhi Pahunchaya Ja Sakta Hai.


Kisi Gareeb Bimar Ka Ilaaj Kra Dena. Kisi Baal Bachchedaar Beghar Musalman Ka Ghar Banwa Dena. Kisi Be Kasoor Qaidi Ki Madad Kar Ke Jail Se Rihai Dilana. Jahan Masjid Ki Zaroorat Ho Wahan Masjid Banwa Dena. Apni Taraf Se Imam Wa Muazzin Ki Tankhwah Jari Kar Dena. Masjid Mein Namaziyon Ki Zarooraton Mein Kharch Karna. Ilme Deen Hasil Karne Walon Ya Ilm Failane Walon Ki Madad Karna. Deeni Kitaben Chhapwa  Kar Ya Kharid Kar Taqseem Karana. Deeni Madarse Chalana. Raste Aur Sadke Banwana Ya Unhe Sahi Karana. Raston Mein Raah Geeron Ki Zarooraton Ke Kaam Karana Wagairah Wagairah. 


Ye Sab Aise Kaam Hain Ki Unhe Karke Ya Un Par Kharcha Karke, Buzurgon Ya Bade Budhon Ke Liye Isaale Sawab Ki Niyat Kar Li Jaye To Ye Bhi Ek Qism Ki Behtareen Niyaz Wa Fatiha Hai, Jindon Aur Murdon Sabhi Ka Usme Nafa Aur Fayda Hai. 


Hadees Pak Mein Hai Ki Huzoor Pak Ke Ek Sahabi Hazrate Saad Ibne Ubada رضی اللہ تعالٰی عنہ Ki Maa Ka Wisaal Hua To Wo Bargahe Risalat Mein Hazir Hue Aur Arz Kiya: YA RASOOLALLAH “ﷺ”! Meri Maa Ka Inteqaal Ho Gaya Hai To Koun Sa Sadqa Behtar Rahega. Sarkar “ﷺ” Ne Farmaya: Paani Behtar Rahega. Unhone Ek Kunwa Khudwa Diya Aur Uske Qareeb Khade Ho Kar Kaha: Ye Kunwa Meri Maa Ke Liye Hai, 

(📚 Mishkat Baabo Fazlussadqa, Safa 169) Yaani Jo Log Is Se Paani Piyen Uska Sawab Meri Maa Ko Pahunchta Rahega. 

Shareheene Hadees Farmate Hain: Huzoor “ﷺ” Ne Paani Isliye Farmaya Ki Madina Tayyaba Mein Paani Ki Killat Thi Peene Ka Paani Kharidna Padta Tha, Gareebon Ke Liye Diqqat Ka Saman Tha Isliye Huzoor “ﷺ” Ne Hazrat Saad Se Kunwa Khodne Ke Liye Farmaya.


Is Hadees Se Ye Baat Saaf Ho Jati Hai Ki Murdon Ko Kaarekhair Ka Sawab Pahunchta Hai Aur Ye Ki Jis Chiz Ka Sawab Pahunchana Ho Us Khane Peene Ki Chiz Ko Samne Rakh Kar Ye Kahne Mein Koi Harz Nahi Ki Uska Sawab Falan Ko Pahunche, Kyonki Hazrat Saad Ne Kunwa Khudwa Kar Kunwa Ki Taraf Ishara Kar Ke Ye Alfaz Kahe The, Lekin Is Ko Zaroori Bhi Nahi Samajhna Chahiye Ki Khana Paani Samne Rakh Kar Hi Isaale Sawab Jaiz Hai, Door Se Bhi Kah Sakte Hain, Dil Mein Koi Nek Kaam Karke Ya Kuchh Padh Kar Ya Khila Kar Kisi Ko Sawab Pahunchane Ki Niyat Karle Tab Bhi Kafi Hai. Allah Taala Sawab Dene Wala Hai Wo Dilon Ke Ahwaal Se Khoob Waqif Hai. Ye Sab Tariqe Durust Hain Unme Se Jo Kisi Tariqe Ko Galat Kahe Wahi Khud Galat Hai.


Continue....


📚 Muharram Mein Kya Jaiz? Kya Najaiz?, Safa 12–14


✍️ Maulana Tatheer Ahmad Razvi Barelvi 


✒️✒️Min Janib:- ILM KI RAUSHNI


Follow this link to join my WhatsApp group: https://chat.whatsapp.com/E5FBRpd1YRbGwPaNPNN0EL


*Join Our Telegram group*


ILM KI RAUSHNI

https://t.me/ILMKIRAUSHNI

Post a Comment

0 Comments