Naye Saal Ki Mubarak Badiya Happy New Year Kahna Kaisa

 


नए साल की मुबारकबादियाँ

 मुसलमानों में अंग्रेजी साल के पहले दिन यक्कुम जनवरी (1st January) को ख़ुशी मनाने, मिठाईयाँ बाटने, मुबारक बादियां देने और भेजने का रिवाज आम हो गया है और तरह तरह की फ़ुज़ूल ख़र्चीयां की जाती है।

           हालांकि यक्कुम जनवरी (1st January) हो या यक्कुम अप्रैल (April Fool), 25 दिसम्बर बड़ा दिन हो या गुड फ़्राइडे (Good Friday), इन सबका इस्लाम और मुसलमानों से कोई ताल्लुक़ नहीं बल्कि इनको अहमियत देना या त्योहार समझना "ईसाईयत" है और ग़ैर मुस्लिमों का तरीक़ा कार। मुसलमानों को चाहिए इस्लामी त्योहार मनाए और इस्लामी दिनों को अहमियत दें, ईसाईयत न अपनाएं कहीं ऐसा न हो कि आपका हश्र ईसाईयों के साथ हो।

          हदीस शरीफ़ में है अल्लाह तआला के रसूल सय्यदे आलम हज़रत मुहम्मद मुस्तफ़ा “ﷺ” फ़रमाते है :- "जो जिस क़ौम का तरीक़ा कार अपनाए वो उन्हीं में से है।"

        आज कल मुसलमानों में बच्चों का सालगिरा (बर्थडे) मनाने का रिवाज भी बहुत हो गया है और उसमें ग़ैर ज़रुरी अख़राजात किए जाते हैं, केक काटे जाते हैं। इस्लामी नुक़ता ए नज़र से ये सब भी कुछ अच्छा नहीं मालूम होता। इसमें अंग्रेज़ी तहज़ीब और ईसाईयत की बू आती है।

📚 ग़लत फ़हमियां और उनकी इस्लाह, सफ़ा 107 - 108

 ✒️✒️ मिन जानिब :- इल्म की रौशनी




Naye Saal Ki Mubarak Baadiyan

Musalmano Mein Angrezi Saal Ke Pahle Din Yakkum January (1st January) Ko Khushi Manane, Mithai Bantne, Mubarak Baadiyan Dene Aur Bhejne Ka Riwaj Aam Ho Gya Hai Aur Tarah Tarah Ki Fizool Kharchiyan Ki Jati Hai.

Halanki Yakkum January (1st January) Ho Ya Yakkum April (April Fool), 25 December Bada Din Ho Ya Good Friday, In Sabka Islam Aur Musalmano Se Koi Talluq Nahi Balki Inko Ahmiyat Dena Ya Tyohar Samajhna "Isaiyat" Hai Aur Gair Muslimon Ka Tariqa kaar. Musalmano Ko Chahiye Islami Tyohar Manaye Aur Islami Dino Ko Ahmiyat Den, Isaiyat Na Apnayen Kahin Aisa Na Ho Ki Aapka Hashr Isaiyon Ke Sath Ho.

             Hadees Sharif Mein Hai Allah Taala Ke Rasool Sayyade Aalam Hazrat Muhammad Mustafa “ﷺ” Farmate Hain:- "Jo Jis Qaum Ka Tariqa Kaar Apnaye Wo Unhin Mein Se Hai."

Aaj Kal Musalmano Mein Bachchon Ka Saalgira (Birthday) Manane Ka Riwaj Bhi Bahut Ho Gya Hai Aur Usmein Gair Zaroori Akhrajaat Kiye Jate Hain, Cake Kaate  Jate Hain. Islami Nuqta E Nazar Se Ye Sab Bhi Kuchh Achchha Nahi Maloom Hota. Ismein Angrezi Tahzeeb Aur Isaiyat Ki Boo Aati Hai.

📚Galat Fahmiyan Aur Unki Islah, Safa 107-108

✒️✒️Min Janib:- ILM KI RAUSHNI

Follow this link to join my WhatsApp group: https://chat.whatsapp.com/Ez5EKTrmfLB2PojMWkfU3g

Join Our Telegram group

ILM KI RAUSHNI

https://t.me/ILMKIRAUSHNI

Visit Our Blogger Website

http://ilmkiraushni.blogspot.com


Naye Saal Ki Mubarak Badiya

 Happy New Year Kahna Kaisa Hai

Islam Mein Happy New Year Ki Mubarak Baad Dena Kaisa Hai?

Post a Comment

0 Comments